har aadmi har baat pe naraj dikhta hai
kya kal raha tha wo aur kya aaj dikhta hai
fursat kise baithe zara, ek saans hi lele
har shakhs bebas aur badhawash dikhta hai
hai lagta pak gaya shayad, chalo ab tod late hain
aakash ki tehni pe latka ek chand dikhta hai
jane ki kya pakta hai us chulhe pe aajkal
angithi mein kisi ka sar, kisi ka haath dikhta hai
kaise thi wo hawa ki jo sabko bujha gayi
ab diye bhar mein hi mujhko aag dikhta hai
jo baarud hai bhitar, use ab aag laga de
chalo 'Pandit' usi taraf jahan chirag dikhta hai
शुक्रवार, 18 दिसंबर 2009
सदस्यता लें
संदेश (Atom)