गुरुवार, 6 मार्च 2008

मुझको ऐ जान मेरी इतनी इजाजत दे दो ...........


अपने अश्को से आज तेरा दामन भीगा दूँ
मुझको ऐ जान मेरी इतनी इजाज़त दे दो
ना जाने किन जमानो से मैं सोया नही हूँ
अपने आँचल में छिपा लो , मुझको सुला दो

मैं अपनी तक़दीर से लड़ता अकेला थक गया हूँ
साथ मेरे आ के मुझको अब सहारा दे दो
न जाने कितनी सादियो से मैं रोया नही हूँ
ये आंसू सूख न जाए अब पलको पे कहीं


मैं तन्हाई यो से आज कल डरता बहुत हूँ
तुम् मेरा हाथ थाम के फिर चलना सिखा दो
की अब रास्तों मे मेरे अँधेरा ही अँधेरा
तुम् अपने प्रेम के दीपक से रौशनी सजा दो


मैं पतझर के काँटों से उलझा हुआ हूँ
दो फूल अब मेरे दामन में गिरा दो
मैं अपनी ज़िंदगी अब सौप्ता हूँ हाथों मे तेरे
मार दो मुझको कि या वापस जिला दो

अपने अश्को से आज तेरा दामन भीगा दूँ
मुझको जान मेरी इतनी इजाज़त दे दो
ना जाने किन जमानो से मैं सोया नही हूँ
अपने आँचल में छिपा लो , मुझको सुला दो

तुमको देखा करता हूँ

jab kamal jheel mein khilta hai
kuch panchi kalrav karte hain
aur kahi per dur khitij mein
suraj jab ugne lagta hai
suraj ki kirano ko chu jab
jhil bhi jhilmil karti hai

us pal soti hogi tum shayad
main jaga sa soya rehta hu
palko ke pardo per apne
main tumko dekha karta hu

jab tapish dhoop ki badhti hai
suraj jab jalne lagta hai
raho per chalte jantu bhi jab
khoj khoj chah chalte hain
aur pasino mein lathpath
majdoor bhi thakne lagta hai

us pal kamre mein hogi tum shayad
main dhoop se baatein karta hu
un kirano se tasveer banaker
main tumko dekha karta hu

jab dhoop ghaneri dhalti hai
jab log gharo ko chalte hain
kuch dane le chocho mein apne
chiriya bacho ko deti hai
aur sikurta kamal hai phir
andhera badhne lagta hai

us pal chat per hogi tum shayad
main suraj ko dhalte takta hu
us dhalte suraj ki lali mein
main tumko dekha karta hu

jab raat ghaneri aati hai
tare jab cham cham karte hai
din mein jali jali bhumi ko
thandak jab chanda deta hai
aur thake hare logo ke
ghar ki batti bhujti hai

us pal unghti hogi tum shayad
main thandi aahen bharta hu
taaro se ghadh kar surat teri
main tumko dekha karta hu

tum hi tum ho harpal mein ab to
bas tumko dekha karta hu
shabdo mein baaandh nahi sakta
kis kis mein tumko takta hu

बुधवार, 5 मार्च 2008

उसकी आंखें

main dekhta hu jab bhi aankhon mein uski
hriday mera dhadhakna bhul jata hai
man machal uthta hai unmein doob jane ko
bacha hai zindagi mein aur bhi kuch bhul jata hai

uski nazar meri nazaron se takrati hia jab bhi
use chukar hawayein mere paas aati hia jab bhi
uske swar mere kano se takrate hai jab bhi
us se sparshit kirane nigahon mein jati hai jab bhi

main doobne lagta hu apne swapno ki sarita mein
ki jaise doobta hia koi kavi kavita mein
aur teri tasveer aankhon ke aage aati hai jab jab
nahi kuch bhi kahin ka yaad aata hai mujhe tab

chahta main to bahut hu bolna tujhse
baatein mere dil mein chupi sab kholna tujhse
aur sun na kuch tere hriday ki bhi
paas mere tu baithe agar kabhi

magar jab jab bhi tu mere paas aati hai
saansein us waqt meri tham si jati hain
nigahein meri tujhe takti reh jati hain
aur talu se meri jivha chipak jati hai
hosh aata hia mujhe thora bahut jab tak
nigahon ke dayro se tu duuuuuuur chali jati hai

main to teri yaad meinjagta hu raat bhar
shunya mein aankhon se takta hu raat bhar
ki tu zindagi hai meri
aayegi kabhi to
isi baat se dil ko0 thagta hu raat bhar

aa mere paas tu main tujhmein chupa jana chahta hu
gham-e-hayat se thori rahat pana chahta hu
gehri hai aankhein teri
haan janta hu per parwah nahi ab
inmein utar kar ab bas main doo jana chahta hu
inmein utar kar ab bas main doob jaa chahta hu.......