गुरुवार, 6 मार्च 2008

तुमको देखा करता हूँ

jab kamal jheel mein khilta hai
kuch panchi kalrav karte hain
aur kahi per dur khitij mein
suraj jab ugne lagta hai
suraj ki kirano ko chu jab
jhil bhi jhilmil karti hai

us pal soti hogi tum shayad
main jaga sa soya rehta hu
palko ke pardo per apne
main tumko dekha karta hu

jab tapish dhoop ki badhti hai
suraj jab jalne lagta hai
raho per chalte jantu bhi jab
khoj khoj chah chalte hain
aur pasino mein lathpath
majdoor bhi thakne lagta hai

us pal kamre mein hogi tum shayad
main dhoop se baatein karta hu
un kirano se tasveer banaker
main tumko dekha karta hu

jab dhoop ghaneri dhalti hai
jab log gharo ko chalte hain
kuch dane le chocho mein apne
chiriya bacho ko deti hai
aur sikurta kamal hai phir
andhera badhne lagta hai

us pal chat per hogi tum shayad
main suraj ko dhalte takta hu
us dhalte suraj ki lali mein
main tumko dekha karta hu

jab raat ghaneri aati hai
tare jab cham cham karte hai
din mein jali jali bhumi ko
thandak jab chanda deta hai
aur thake hare logo ke
ghar ki batti bhujti hai

us pal unghti hogi tum shayad
main thandi aahen bharta hu
taaro se ghadh kar surat teri
main tumko dekha karta hu

tum hi tum ho harpal mein ab to
bas tumko dekha karta hu
shabdo mein baaandh nahi sakta
kis kis mein tumko takta hu

2 टिप्‍पणियां:

Unknown ने कहा…

subhan allah

Vikash ने कहा…

फिर से वही बात दोहराने को मन कर रहा है. लिखने के बाद एक बार पढ़्कर फ़्लो जरूर चेक करो. भाव एवं चित्रण अद्वितीय है. :)