शुक्रवार, 18 दिसंबर 2009

har aadmi har baat pe naraj dikhta hai
kya kal raha tha wo aur kya aaj dikhta hai

fursat kise baithe zara, ek saans hi lele
har shakhs bebas aur badhawash dikhta hai

hai lagta pak gaya shayad, chalo ab tod late hain
aakash ki tehni pe latka ek chand dikhta hai

jane ki kya pakta hai us chulhe pe aajkal
angithi mein kisi ka sar, kisi ka haath dikhta hai

kaise thi wo hawa ki jo sabko bujha gayi
ab diye bhar mein hi mujhko aag dikhta hai

jo baarud hai bhitar, use ab aag laga de
chalo 'Pandit' usi taraf jahan chirag dikhta hai

3 टिप्‍पणियां:

Manish Kumar ने कहा…

कुछ मस्त लिखे हो मनीष सौरभ..... हमको एकदम नहीं पता था कि तुम इतना मस्त लिखते हो.... अब तुम्हारा कविता सब हमेशा पढ़ा करेंगे.... एकदम मज़ा आ गया पढ़ के..... ग़ज़ब........

nandini pathak ने कहा…

hamari akho ko lanat ...na dekha aj tak jisko..usi ko bakhubi tu aj likhta hai....bahut khoob

manish ने कहा…

hamari aankhon ki ye roshni hai aapse aabad,
nahi to hai zamane mein koi mujh jaisa barbad :)