गुरुवार, 29 अक्तूबर 2015

Mera pyaar jaise be-intehaan hota hai,
dushmani bhi main waisi be-hisaab karta hu

Chupane ka hunar mujhse bahut dur raha,
jo bhi karta hu main wo bin naqaab karta hu

Jo jee mein hota hai wohi jubaan pe rehta hai
lakh log kehte rahe main kharab karta hu

Jamane bhar ka dard dil mein utar jata hai
tabhi baat baat per main inquilaab karta hu

Maikhane ki talab mujhko ab nahi rehti
tumhare gham ko hi main sharab karta hu

Din ko gujarne ka kuch bahana mile
isiliye main ab ye rozgaar karta hu

ki
Subah se jisko manane me pura din nikla
raat ko usko main phir se naraaj karta hu

कोई टिप्पणी नहीं: