ye saansein kyu
bojhal bojhal
ye sapne kyu
ojhal ojhal
ye nadi mujhe na jane kyu
apne sang baha le jati hai
us chor priye tum bahti ho
is chor baha main jata hu
ye dhadhkan kyu
khali khali
ye tanhayee
kali kali
ye nisthur rath samay ka kyu
yu dauda dauda jata hai
ye bhav mere kuchla karta
main bebas takta jata hu
ye virah
mujhe tarpata hai
ye dil mein aag lagata hai
jo mere paas bache hai kuch
main aanshoo inhe pilata hu
ye aanshoo sookh bhi jate hai
main ise bujha na pata hu
je chahe kahi
nikalu bhagu
main is sulgan ko dur karu
main jitna ise dabata hu
ye aur sulagti jati hai
tum aa jati ek baar to
shayad ye agni bujh jaye
ye sulgi dhadhakan
sulgi saansein
aanchal mein tere kho jayein
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें